 | "Ma Ka Pyar aour Pita ka Gyan" Jo Bachha Ma Ka Anchal, aur Pita ka Ungli pakar Kar Duniya ka is mele me ghumne Nikalta usko kabhi Kho Jane ka dar nahi Raheta. Is Bat ko ham eise samjhe, .. Ham sabne dekha hoga Basant Ritu Me Jab Sab Briksho me patte lag chuke hote hai, nai kople a chuke hote hai, us samay Syam ke wakt Briksho ko Jhulsa hua lagta hai, aur sabera Hote Hi, ohi patte aur Briksho me nayee Tazgee aa Jati hai. Isko agar Ham Dhyan se samjhe bilkul is baat ka pata lagta Hai, Ki Din Ka Surya Bhagwan ke prakash ke karan tej Dup ke karan, us briksho ko Urja to milta hai, aur sath hi sath thakaot bhi aa jata hai. Jada tez Dhup ke karan jhuas jata hai.syam ko Chandrama ke aa jane se Unsab Biksho Ko aur Patte ko chandrama ka Prakash sheetalta, snigdhata aur PUSTI deti hai. Arthat Din me jo Urja Surya Bhagwan se mili Thi, Chandrama ke prakash se us Urja ka sah Rupantaran Ho Jyata, Han Sirf Is Baat Ka Dhyan Rakhna Parega Briksha ko apne Jameen se Jure rahene ki. Sansar me Bhi eisa hi Prakriti Ka Niyam Chalta Hai, Balyakal Se Kisore Abastha tak sab bachhe ka bhi isi taraha hal hota hai, Use Pita ka Gyan ka prakash, Dhairya, Khshama, Satya, Dharma, Sangyam, Anusashan, Rupi Uja Milta Hai. Ma Bhakti Rupi, us Bachhe ko Prem Ki Sheetalta me Seench kar, Us Urja Ko Shanti Anand, Sukh Deta hai. Bachhe Jab Tak Ma ka Anchal, aur Pita Ka Ungli pakar kar chalta Hai tab tak use koi dar bhi nahi lagta.Iske Bad Pita ka Gyan aur Ma ka pyar ke fal swarup briksho me Phul, Phal lagte aur jaane ke baad bhi apna nishana Chor jate hai.Usi traha ohi bachcha bara Hoke anushya Bankar Man, Yash, samriddhi, Sukh, Shanti aur Anand ko phal ke rup me pa jata hai. Jayse Briksho ko Apne Jameen se Jure rahene ki Jarurat hai, Kiyuki, ye Jameen ki jimmedari hai briksho ko khana khilana, vitamins, minarals ki jarurat ko pura karna, apne saath jor ke rakhna. Usi Taraha bachche ko bhi Apne Sad Guru, apna sanskar, apna janmabhumi, apna Shikhsa, Apna Dharma, apna ISH se jure rahena parega, Jo Bachcha apne Guru, Mata, Pita apna Desh, Sanskar ko bhul gaya wo to sab kuchh ko diya. |
No comments:
Post a Comment